Make your own free website on Tripod.com

Yeh Hay Aisha Manzil Karachi

I am writing This Web in Roman English so All can understand what's going on.

APPLE TO Mr.MUSTAFA KAMAL NAZIM KARACHI


Pyara Nazim Shahab Assalamulakum
Mera Ya Web Site Bananay Ka Matlab Hargis Ya Nahi Hay Kay Yaha Jo Garib Log Jugi May Rahtay Hay unko Bay Ghar Kiya Javay Balkay May Ya Chata Hu Kay Unlogo ko Koi Achi Jaga Day Kar Vaha Sift Kiya Gaya.
Ab May App ko Assal Suratay Hal Bata ta hu May Ismaili Hu aur Yaha
AGA KHAN kay Bohat say Idaray Is Jaga aur Iskay Nazdik Hay Jis Ki Detail Ya hay

 
1. Prince Center Night School For Kids.
2. Aga Khan Martinety Home For Ladies.
3. Jamat Khana Karimabad & Alayabad
4. Aga Khan SMS School with More Than 4000 Student.
5. More Than 5000 Flats of Ismaili who Pay All Tax to Goverment.
6. Nobel Ismaili Student Welfare Association
7. Madni Majid jis may har Thursday ko Istama Hota Hay


And Many Other Institution Like This.
Is Ilakay Yanay Aisha Manzil Block 7 May Takriban 100000 Kay karib Log Flat May Rahatay hay aur is Ilakay may ek bhi Park nahi hay jo Park kay liya 3 Ground hay usmay kuch log jis may Ek ka Naam Haji aur Chand aur logo nay puray teeno Ground Par Takat kay joor par Kabza kar kay usmay dukan,makan,factory aur kabari jis may kachray jama hotay hay aur pooray elakay may phalta hay kirayapar day rakha hay
May Nay jab Vaha Factory kay jaga ka bahana kar kay haji say baat ki tu haji shahab nay mujay batata kay abhi app mujay 500000 day do Aur ek Mahinay Baad 500000 Day Dana May tumay 400 Sq yard Jaga day doonga Jab may Nay Bola Kay Ya tu Bohat Zaida hay tu haji nay bola kay salay MQM walo
ko bhi dana Parta hay.
meri takikat kay mutabik takriban Haji aur Uskay kuch log jis may police bhi samil hay 500000 say 700000 Har mahinay kmatay hay jis may unlogo nay kunda kay zarya bigli bhi lay raki jis say unlog
Electric kay Chulay bhi jalatay hay aur Uskay Paisay bhi khud unlog raktay hay.Sub meter Kay zarya reading kar kay .us jugi may charas,sarab.Asla aur bohat si gar kannoni kam hatay hay.aur jab hamari Ma, Bhanay
Vaha Say School,Hospital Ya Jamat Khanay Kay liya nikal ti hay tu unko kuch log jo kay jugi kay baasar log hay chartay hay.
May nay aur meray chand doosto nay Hamari Aga Khan Cousil may baat ki hay lakin said vo log bhi dartay hay kuch karnay say is liya may app
Say apple karta hu kay Please unlogo say ya kabza churaiya aur jugi may rahanay valo ko koi aur jagay day kar vaha  Park aur parking banadiya jaya,
Kuch Taswir Nichay Laga Rahahu Ya Dekl Ligya aur app bhi yaha aakar dek saktay hay kay yaha kiya horaha hay.

 

 

Aga Khan SMS School Near This Trash
image-51.jpg

Aga Khan Hospital & Martinety Home
image-24.jpg

There is Night School of Kids Near This Trash
image-49.jpg

image-39.jpg

Aisha Manzil Market Side by Side Near Trash
image-45.jpg